YouTube Channel Grow Kaise Kare ?

Are you looking for ways to grow your YouTube channel? Kya aap bhi janna chahte hai ki youtube channel ko grow kaise kiya jata hai? Agar aapka jawab hai haan to aap bilkul sahi jagah hai kyuki aaj main aapko yahi chiz sikhane ja rah hu.

  1. Sabse pehle to aapko ye sochna pdega ki aap kis chiz ke upar video banana chahte hai, uske baad aapko regularly videos ko post karna hoga aur koshish ye karni hogi ki aisi videos banayi jaye jo log search karte ho. Isse faida ye hoga ki aapko organically bhi views milenge aur aapki audience grow hogi. Yeh kaise pata kare ki log kya search karte hai iske liye aap google ads ka free tool jiska naam “Google Keywords Planner Tool” Ka istemaal kar sakte hai, usko chalana bohot he aasan hai aur usko use karke aap ye pata kar sakte hai ki kisi bhi keyword ko saal me kitni baar search kia jata hai aur us keyword ke liye rank karne me aapko kitni mehnat karni padegi.
  2. Dusra step hai ki aapko apni videos ki quality ko increase karna hoga, aapko ek achha camera aur mic ka istemaal karna hoga taaki log aapko ache se dekh paye aur sun paye. Agar ho sake to 4k me shoot aur post kare isse aapka youtube channel high quality lagega aur logo ko dekhne me maja bhi ayega.
  3. Aap apne videos ke thumbnails ko improve kare kyuki wahi pehli chiz hoti hai jo logo ko dikhayi deti hai aur wo us video par click karte hai, to aapko apni videos ke thumbnails ko bohot he ache se banana hoga, Thumbnails me bohot saari chize add karne se bache aur jitna ho sake thumbnail ko simple aur attractive banaye. Uske andar dher saare text na add kare aur agar aapko thumbnail ache se nahi banana aata ya aap sikh nahi sakte to aap apne thumbnails kisi graphic designer se bhi banwa sakte hai.
  4. Ho sake to apni videos ko ek he waqt par post kare, agar aap daily videos dalte hai to ek samay decide kar le aur us waqt par daily post kare. Jaruri nahi ki aap daily videos dale but jab bhi dale koshish kare ki regular dale aur ek waqt par dale taaki aapki audience jo hai wo videos ka wait kare aur unko pata ho ki aapki videos kab aane wali hai. Videos kab daali gayi hai isse bhi bohot fark padta hai kyuki agar aap videos aise waqt par dalenge jab log so rahe ho raat me to aapki videos ko starting wale views nahi milenge aur uske grow hone ke chances kam ho jayenge.
  5. Videos ko dalne ke baad ya use pehle aapko uska seo bhi karna chahiye, halaki ye jaruri nahi hota lekin isse bohot fark padta hai. Mere kehne ka matlab hai ki aapka title and description aisa hona chahiye ki log aapki videos ko dekhna chahe. Agar aap boring title daloge jisse ye pata he na chal paye ki aapki videos kis bare me hai to koi aapki videos par click he nahi karega aur koi fark nahi padta aapki videos kitni achhi hai aur kitni achhi information deti hai aapko views nahi milenge.
  6. Koshish ye kare ki aap apni videos ko ache se edit kare aur videos ke bich ke unwanted parts ko hata de, isse aapki videos boring nahi lagegi aur log usko end tak dekhenge jisse aapka watch time improve hoga aur youtube ko ye signal jayega ki log aapki videos ko pura dekh rahe hai aur aapki videos sach me interesting hai aur youtube ka algorithm aapki videos ko aur jyada recommend karega aur long term me aapko bohot saare views milenge aur aapka channel grow ho jayega.
  7. Apni videos ke liye aap topic ai ki help se bhi dhund sakte hai lekin unko aise he copy karne ki galti bilkul na kare isse aapki videos ka content to badh jayega par wo kabhi grow nahi hongi kyuki sirf information hona he kaafi nahi hota, aapko ye bhi pata hona chahiye ki us information ko present kaise karna hai.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *