YouTube channel kaise banaye ?
Dosto is video me main aaj aapko bataunga ki aap ek youtube channel kaise bana sakte hai wo bhi badi he aasaani se ekdum free. Main aaj aapko shuru se lekar ant tak pura process baataunga aur aasha karta hu ki aap is post ko padhne ke baad apna naya channel bana lenge aur ek youtuber ban jayenge.
YouTube channel banana ke purey process ko maine alag alag steps me baat diya hai jisse aapko samajhne me aasani ho aur aap ek ke baad ek step follow karte jaye.
Step 1: Sabse pehle aapko ek google account banana padega, agar aapke paas ek google account yaani gmail id hai to main aapko recommend karunga ki aap uska use na kare aur apne channel ke lie ek nayi id banaye.
Step 2: Ab aapko apni naye email id select karni hai jo ki kuchh bhi ho sakti hai isse aapke channel ke naam par aage chal kar kuchh fark nahi padega, yaha par aap apna naam ya kuchh bhi unique id select kar sakte hai.
Step 3 : Ab apko apna number dalna padega aur normal jankari bhar kar youtube.com ka page khulega jaha upar right side me apne naam ki icon par click karne par “Create Channel” Ka option nazar ayega, Us par click kare aura age badhe.
Step 4: Ab aapko apne channel ka naam aur username set karna hoga, dhyan de ki aapke channel ka naam wahi rakhna hai jo ap final naam rakhna chahte hai jis naam se youtube par aapko jaana jayega. Aur username aapko wo set karna hai jo apka address hoga jaise ki “abhisheksagarvlogs” to mera address hoga https://youtube.com/abhisheksagarvlogs.
Step 4: Aap dekh sakte hai yaha par meri photo nazar aa rahi hai to aap chahe to apni photo laga sakte hai jisse aapke channel ki ek alag pehchan bane, channel customization par jaake aap aur bohot saari chize badal sakte hai jaise ki aapke channel ka cover art aur description.
Step 5: Basic Info par click kare aur apne channel ki basic jaankari dale jaise aapka channel kis bare me hai aur aap apne bare me logo ko kya batana chahte hai. Dhyan de ki ye aapke channel ke seo me bhi help karega. Sahi jaankar he dale.
Step 6: Settings par jaake apni currency ko Indian rupees me set kare jisse aage chal kar aap jo paise kamayenge wo rupay me dikhe na ki dollars me.
Step 7: Settings me he jaake basic info me jaake country set kare aur apne channel ki keywords bhi dale, dhyan de ki yeh keywords bhi aapke channel ke seo ka ek hissa hai to isme wahi dale jo keywords aapke channel aura age dalne wale video topics se mel kahata ho, galat aur bhramit karne wali chize yaha par na dale. Na he koi offensive chize likhe.
Step 8: Aaapka channel tayat hai, halaki abhi bohot aur chize hai jinhe bhara ja sakta hai lekinn wo sab abhi jaruri nahi hai bas ab video dale aur apne channel ko grow karne ka soche.